Parizaad drama was one of the top 10 Pakistani dramas in 2022. It had a wholly different subject matter that inspired the public. Parizaad was based on a novel that portrayed the life of a lower-class protagonist who rose to the height of success. He became an inspiration for all the people who are striving in their lives that they will eventually become successful. Also, Parizaad drama poetry has become an addition to Urdu Shayari that people loved.
Parizaad Drama Poetry
Parizaad Drama Poetry had all the genres of poetry that everyone loved. The words touched the hearts of a lot of people. The writer penned down verses that were romantic, motivating, inspiring, and even ironical. So, here are some of the snippets of verses that Ahmad Ali Akbar spoke in the role of Parizaad.
Romantic poetry
1.
Raat ho chaand ho shanasa ho
Kyun nah rag rag mein phir nasha sa ho
Mein ne ik Umar kharch ki hai tum par
Tum mira qeemti asasa ho
Ek to khauf bhi ho duniya ka
Aur mohabbat bhi bey-tahasha ho
2.
Ki mire qatl ke ba.ad us ne jafa se tauba
haa.e us zud-pashimañ ka pashimañ hona
3.
hamesha der kar deta huuñ maiñ har kaam karne meñ
zaruri baat kahni ho koi va.ada nibhana ho
use avaz deni ho use vapas bulana ho
hamesha der kar deta huuñ maiñ
madad karni ho us ki yaar ki Dharas bañdhana ho
bahut derina rastoñ par kisi se milne jaana ho
hamesha der kar deta huuñ maiñ
badalte mausamoñ ki sair meñ dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhuul jaana ho
hamesha der kar deta huuñ maiñ
kisi ko maut se pahle kisi ġham se bachana ho
haqiqat aur thi kuchh us ko ja ke ye batana ho
hamesha der kar deta huuñ maiñ har kaam karne meñ…
4.
Kabhi tum ne kaha thha
Wapas laut jao
Kabhi tum ne kaha thha
Wapas laut jao
Ki Mohabbat haq hai
Haq kuch khoobruoñ ka
Haq kuch shahzadoñ ka
Bahot dilkash se jismoñ ka
Falak ke Parizaadoan ka
Magar iss saughat ka aari
Main ek aam sa qaari
So wapas laut aaya
Magar yeh keh na paya
Bahot barbad hote hain
faqat chehre kahan
Kuch Dil bhi Parizaad hote hain
Yeh dil jab toot jaye toh
Falak bhi kaañp utthtey hain
Mohabbat rooth jaye to
Wabaayein phail jati hain
Toh dekh lo janaañ
Tumhare shehr mein aaj
Jangloan ka sukoot hai
Tumhein naaz thha jis par
Woh mohabbat bhi mashroor hai
Tumhara husn bas ek saraan hai
Kya dilkash kya Badsoorat
Har chehre par naqaab hai
Har shakhs ba hijaab hai
5.
Main Lafz Faroosh Zaroor Hun
Pr iman Faroosh nhi Hun
6.
Main Duniya Ka Raaz Samaj Gia Hun
Yahan Sb Paisy K Samany Jukty Han
7.
Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare”
Aa Dekh Tere Naam Se Mosoom Hain Saare”
8.
Raat ho chaand ho shanasa ho
Kyun nah rag rag mein phir nasha sa ho
9.
Ye na aabaad waqto me Dil-e-naashaad me hogi
Muhabbat ab nahi hogi Ye kuch din baad me hogi
10.
Sitare jo camakte hain Kisi ki chashm-e-hairaa me
Mulaaqaatein jo hoti hai Jamaal-e-abr-o-baaraan me
11.
Mein ne ik Umar kharch ki hai tum par
Tum mira qeemti asasa ho
12.
Dunia Har Cheez Pr Bikti Hai
Bas Sahi Qeemat Lagany Wala Hona Chaiyhe